Home Bayanat Books Blog Donate
Hazrat Umar (R.A) Ka Insaaf Aur Raat Ka Gasht
Islamic Story
Islamic Story

Hazrat Umar (R.A) Ka Insaaf Aur Raat Ka Gasht

م
Mufti Risalat Sahab
· 08 June 2026 · 1 min read · 336 views · 3 comments · Updated 02 Nov 2026
Hazrat Umar Farooq (R.A) musalmano ke dusre khalifa the. Aap apne khilafat ke dauran aksar raat ko bhes badal kar Madinah ki galiyon me gasht kiya karte the taake ghareeb aur zarooratmand logo ke haalaat se wakif ho sakein. Ek raat, aap gasht kar rahe the ke aapne ek ghar se bacho ke rone ki awaaz suni. Qareeb ja kar dekha to ek maa chulhe par degchi chadhaye baithi thi aur bache uske gird ro rahe the. Hazrat Umar (R.A) ne salam kiya aur rone ki wajah puchi. Urat ne kaha, "Ghar me khane ko kuch nahi hai. Maine degchi me sirf pani aur kankar daal kar chulhe par chadhaya hai taake bache samjhein ke khana pak raha hai aur wo sote sote so jayein." Hazrat Umar (R.A) ye sunkar kaanp uthe. Aap foran bait-ul-maal gaye, wahan se aate ki bori, ghee, khajoor aur digar zaroori samaan apne kandhe par uthaya. Aapke khadim ne kaha ke main utha leta hoon, lekin aapne farmaya, "Kya Qiyamat ke din tum mera bojh uthaoge?" Aapne us ghar ja kar khud apne haathon se khana pakaya, bacho ko pet bhar khilaya aur unhe hasta hua dekh kar wapas laute. Ye tha Hazrat Umar (R.A) ka insaaf aur khidmat-e-khalq.

Ye article share karein

Islami maloomat doosron tak pahunchayein — sadaqah jariyah ka zariya hai

م

Mufti Risalat Sahab

Chief Mufti & Islamic Scholar

Darul Uloom Deoband ke Fazeel-yafta aur Ifta ke mahir alim. Quran-o-Sunnat ki roshni mein jadeed masail ka hal dete hain.

View All Articles →

Comments

3

Apna Tajurba ya Sawal Likhein

Login karein — comment aasaan ho jayega!

Min 3 characters required

0
M
mohd irshad ✓ Member 09 Jun 2026, 16:35

fbcgnh

M
mohd irshad ✓ Member 09 Jun 2026, 16:35

fnfg

M
mohd irshad ✓ Member 09 Jun 2026, 16:35

cgnfgn